alam ka bojh uThae safar mein rahta hai
alam ka bojh uThae safar mein rahta hai
Mohammad Sharfuddin Sahil
MORE BYMohammad Sharfuddin Sahil
alam kā bojh uThā.e safar meñ rahtā hai
jo bad-nasīb mirī chashm-e-tar meñ rahtā hai
vafā kī bhiik koī zar-parast kyā degā
kasīr fā.eda us kī nazar meñ rahtā hai
talāsh-e-rāhat-e-duniyā se kyā ġharaz mujh ko
amīn-e-ġham huuñ yahī mere ghar meñ rahtā hai
milī mujhe isī gardish meñ azm kī daulat
safīna merā hamesha bhañvar meñ rahtā hai
maiñ jāntā huuñ ki anjām-e-zindagī kyā hai
harīs uljhā huā māl-o-zar meñ rahtā hai
munāfiqat ke amal meñ kamāl hai itnā
vo kuchh na ho ke bhī aksar ḳhabar meñ rahtā hai
sadāqatoñ se muzayyan ḳhayāl hai 'sāhil'
mushāhida tire arz-e-hunar meñ rahtā hai
alam ka bojh uThae safar mein rahta hai
jo bad-nasib meri chashm-e-tar mein rahta hai
wafa ki bhik koi zar-parast kya dega
kasir faeda us ki nazar mein rahta hai
talash-e-rahat-e-duniya se kya gharaz mujh ko
amin-e-gham hun yahi mere ghar mein rahta hai
mili mujhe isi gardish mein azm ki daulat
safina mera hamesha bhanwar mein rahta hai
main jaanta hun ki anjam-e-zindagi kya hai
haris uljha hua mal-o-zar mein rahta hai
munafiqat ke amal mein kamal hai itna
wo kuchh na ho ke bhi aksar KHabar mein rahta hai
sadaqaton se muzayyan KHayal hai 'sahil'
mushahida tere arz-e-hunar mein rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.