alam ki baat se aazar-e-jaan se kuchh nahin hota
alam kī baat se āzār-e-jāñ se kuchh nahīñ hotā
vo aalam hai ki ehsās-e-ziyāñ se kuchh nahīñ hotā
vaqār-e-gulsitāñ kī pāsdārī baat hai varna
chaman ke naam par husn-e-bayāñ se kuchh nahīñ hotā
amal kī quvvat-e-tasḳhīr se duniyā badaltī hai
shikāyat-hā-e-jaur-e-āsmāñ se kuchh nahīñ hotā
yaqīñ mohkam agar ho gardish-e-daurāñ badal Daale
gumāñ kitnā hī baḌh jaa.e gumāñ se kuchh nahīñ hotā
nazar sayyād ke hālāt par rakhnā zarūrī hai
faqat taz.īn-e-shāḳh-e-āshiyāñ se kuchh nahīñ hotā
jahāñ hālāt par tanqīd hī karnā zarūrī ho
vahāñ ra.anā.ī-e-husn-e-bayāñ se kuchh nahīñ hotā
jahāñ dār-o-rasan kī baat mauzū-e-suḳhan Thahre
vahāñ ulfat kī rangīñ dāstāñ se kuchh nahīñ hotā
vahāñ aksar kalām-e-narm-o-shīrīñ ḳhuub hotā hai
ki aksar jis jagah teġh-o-sināñ se kuchh nahīñ hotā
ba-nām-e-ishq jazb-e-jāñ-faroshī kī zarūrat hai
musalsal sajda-hā-e-āstāñ se kuchh nahīñ hotā
mohabbat meñ ik aisā vaqt bhī aatā hai insāñ par
ki jab taskīn-e-dil ārām-e-jāñ se kuchh nahīñ hotā
kisī bhī taur ab taskīn kī sūrat nahīñ bantī
kisī bhī mehrbāñ nā-mehrbāñ se kuchh nahīñ hotā
nasheman phūñk hī Daalā 'qamar' jab apne hāthoñ se
ab aatī hai to ab barq-e-tapāñ se kuchh nahīñ hotā
alam ki baat se aazar-e-jaan se kuchh nahin hota
wo aalam hai ki ehsas-e-ziyan se kuchh nahin hota
waqar-e-gulsitan ki pasdari baat hai warna
chaman ke nam par husn-e-bayan se kuchh nahin hota
amal ki quwwat-e-tasKHir se duniya badalti hai
shikayat-ha-e-jaur-e-asman se kuchh nahin hota
yaqin mohkam agar ho gardish-e-dauran badal Dale
guman kitna hi baDh jae guman se kuchh nahin hota
nazar sayyaad ke haalat par rakhna zaruri hai
faqat tazin-e-shaKH-e-ashiyan se kuchh nahin hota
jahan haalat par tanqid hi karna zaruri ho
wahan ranai-e-husn-e-bayan se kuchh nahin hota
jahan dar-o-rasan ki baat mauzu-e-suKHan Thahre
wahan ulfat ki rangin dastan se kuchh nahin hota
wahan aksar kalam-e-narm-o-shirin KHub hota hai
ki aksar jis jagah tegh-o-sinan se kuchh nahin hota
ba-nam-e-ishq jazb-e-jaan-faroshi ki zarurat hai
musalsal sajda-ha-e-astan se kuchh nahin hota
mohabbat mein ek aisa waqt bhi aata hai insan par
ki jab taskin-e-dil aaram-e-jaan se kuchh nahin hota
kisi bhi taur ab taskin ki surat nahin banti
kisi bhi mehrban na-mehrban se kuchh nahin hota
nasheman phunk hi Dala 'qamar' jab apne hathon se
ab aati hai to ab barq-e-tapan se kuchh nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.