alfaz bik rahe the KHaride nahin gae
alfāz bik rahe the ḳharīde nahīñ ga.e
schōl ham ġharīboñ ke bachche nahīñ ga.e
tū ḳhud zarūratoñ ke añdhere meñ kho gayā
tujh ko talāsh karne añdhere nahīñ ga.e
sayyād ke qafas meñ unheñ bhuuk le ga.ī
panchhī ḳhushī se jaal meñ phañsne nahīñ ga.e
jugnū haiñ tīrgī meñ chamakte rahe haiñ ham
sūraj kī raushnī meñ chamakne nahīñ ga.e
ham ko samundaroñ kā nigahbāñ banā diyā
hoñToñ se the jo pyaas ke rishte nahīñ ga.e
alfaz bik rahe the KHaride nahin gae
school hum gharibon ke bachche nahin gae
tu KHud zaruraton ke andhere mein kho gaya
tujh ko talash karne andhere nahin gae
sayyaad ke qafas mein unhen bhuk le gai
panchhi KHushi se jal mein phansne nahin gae
jugnu hain tirgi mein chamakte rahe hain hum
suraj ki raushni mein chamakne nahin gae
hum ko samundaron ka nigahban bana diya
honTon se the jo pyas ke rishte nahin gae
- Book : Loban (Pg. 10)
- Author : Nadeem Farrukh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.