alfaz guftugu ke liye ab nahin rahe
alfāz guftugū ke liye ab nahīñ rahe
mahsūs ho rahā hai mire lab nahīñ rahe
maanā ki fāsle haiñ bahut phir bhī ye batā
ham tere saath saath bhalā kab nahīñ rahe
kuchh der guftugū meñ to shā.ista vo rahā
phir yuuñ huā ki ham bhī mohazzab nahīñ rahe
teshe se koī duudh kī nahreñ nikāl de
hāthoñ meñ ab vo ishq ke kartab nahīñ rahe
hāthoñ ko us kī fat.h kī ḳhātir uThā diyā
dekhā ki us ke tīr-o-kamāñ jab nahīñ rahe
alfaz guftugu ke liye ab nahin rahe
mahsus ho raha hai mere lab nahin rahe
mana ki fasle hain bahut phir bhi ye bata
hum tere sath sath bhala kab nahin rahe
kuchh der guftugu mein to shaista wo raha
phir yun hua ki hum bhi mohazzab nahin rahe
teshe se koi dudh ki nahren nikal de
hathon mein ab wo ishq ke kartab nahin rahe
hathon ko us ki fath ki KHatir uTha diya
dekha ki us ke tir-o-kaman jab nahin rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.