alfaz ke badan ko libas-e-KHayal de
alfāz ke badan ko libās-e-ḳhayāl de
harf-e-navā ko paikar-e-ma.anī meñ Dhaal de
dushvārī-e-hayāt ko dushvār-tar banā
jis kā javāb ban na paḌe vo savāl de
sarmastiyoñ kī mauj meñ lahrā ke jhuum jā
uTh aur ek jaam fazā meñ uchhāl de
ahl-e-ḳhirad ko sauñp na duniyā kī bāg-Dor
kār-e-zamāna ahl-e-junūñ ko sañbhāl de
lazzat-shanās talḳhī-e-imroz huuñ 'sharar'
phir maslahat na ishrat-e-fardā pe Taal de
alfaz ke badan ko libas-e-KHayal de
harf-e-nawa ko paikar-e-mani mein Dhaal de
dushwari-e-hayat ko dushwar-tar bana
jis ka jawab ban na paDe wo sawal de
sarmastiyon ki mauj mein lahra ke jhum ja
uTh aur ek jam faza mein uchhaal de
ahl-e-KHirad ko saunp na duniya ki bag-Dor
kar-e-zamana ahl-e-junun ko sanbhaal de
lazzat-shanas talKHi-e-imroz hun 'sharar'
phir maslahat na ishrat-e-farda pe Tal de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.