alfaz sabr-o-shukr ke boli mein aa gae
alfāz sabr-o-shukr ke bolī meñ aa ga.e
jannat ke phal ġharīb kī jholī meñ aa ga.e
pahlī sī ab na rāteñ na nīñdeñ na ḳhvāb haiñ
sapne simaT ke niiñd kī golī meñ aa ga.e
rañgoñ kā kyā manāeñge tehvār aaj log
un ko maze to ḳhuun kī holī meñ aa ga.e
kuTiyā se bālā-tar rahe ḳhauf-o-hirās-o-ġham
ḳhatre haveliyoñ meñ rañgolī meñ aa ga.e
shāyad havas kā naag bhikāran ko Das gayā
bejā ubhār dāman-o-cholī meñ aa ga.e
kyoñ jaane chal ke shahr-e-nigārāñ se aaj dil
dīvāna-vār gaañv kī Tolī meñ aa ga.e
alfaz sabr-o-shukr ke boli mein aa gae
jannat ke phal gharib ki jholi mein aa gae
pahli si ab na raaten na ninden na KHwab hain
sapne simaT ke nind ki goli mein aa gae
rangon ka kya manaenge tehwar aaj log
un ko maze to KHun ki holi mein aa gae
kuTiya se baala-tar rahe KHauf-o-hiras-o-gham
KHatre haweliyon mein rangoli mein aa gae
shayad hawas ka nag bhikaran ko Das gaya
beja ubhaar daman-o-choli mein aa gae
kyon jaane chal ke shahr-e-nigaran se aaj dil
diwana-war ganw ki Toli mein aa gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.