allah bashar jah-o-hasham bech rahe hain
allāh bashar jāh-o-hasham bech rahe haiñ
ḳhud-sāḳhta patthar ke sanam bech rahe haiñ
maġhrib kī ta.affun-zada tahzīb ke badle
ham arz-e-muqaddas kā haram bech rahe haiñ
bebāk sadāqat se jo mansūb rahā hai
dil rotā hai kyoñ log qalam bech rahe haiñ
hairān huuñ maiñ saḳhtī-e-jāñ dekh ke un kī
kis dil se vo rūdād-e-sitam bech rahe haiñ
pesha hai kisī kā to koī bhuuk se majbūr
bāzār-e-adālat meñ qasam bech rahe haiñ
hijrat huī az.hān pe kuchh aise musallat
vo ghar thā jo ik bāġh-e-iram bech rahe haiñ
'as.ad' yahāñ maz.hab hai munāfa kī tijārat
har moḌ pe ab log dharam bech rahe haiñ
allah bashar jah-o-hasham bech rahe hain
KHud-saKHta patthar ke sanam bech rahe hain
maghrib ki taffun-zada tahzib ke badle
hum arz-e-muqaddas ka haram bech rahe hain
bebak sadaqat se jo mansub raha hai
dil rota hai kyon log qalam bech rahe hain
hairan hun main saKHti-e-jaan dekh ke un ki
kis dil se wo rudad-e-sitam bech rahe hain
pesha hai kisi ka to koi bhuk se majbur
bazar-e-adalat mein qasam bech rahe hain
hijrat hui azhan pe kuchh aise musallat
wo ghar tha jo ek bagh-e-iram bech rahe hain
'asad' yahan mazhab hai munafa ki tijarat
har moD pe ab log dharam bech rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.