allah re hausla mere qalb-e-do-nim ka
allāh re hausla mire qalb-e-do-nīm kā
jis ne sabaq paḌhā hai alif laam miim kā
uTThā na baar jalva-e-zāt-e-qadīm kā
itnā thā zarf dāva-e-chashm-e-kalīm kā
baḳhshish ḳhudā kī hai to shafā.at rasūl kī
rakhtā huuñ darmiyān karīm o rahīm kā
aasī ko apne dāman-e-rahmat meñ dī jagah
allāh re karam mire rabb-e-karīm kā
aasī sahī zalīl sahī pur-ḳhatā sahī
banda to hai 'rashīd' ġhafūrur-rahīm kā
allah re hausla mere qalb-e-do-nim ka
jis ne sabaq paDha hai alif lam mim ka
uTTha na bar jalwa-e-zat-e-qadim ka
itna tha zarf dawa-e-chashm-e-kalim ka
baKHshish KHuda ki hai to shafaat rasul ki
rakhta hun darmiyan karim o rahim ka
aasi ko apne daman-e-rahmat mein di jagah
allah re karam mere rabb-e-karim ka
aasi sahi zalil sahi pur-KHata sahi
banda to hai 'rashid' ghafurur-rahim ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.