allah re yaadon ki ye anjuman-arai
allāh re yādoñ kī ye anjuman-ārā.ī
hañste hue ġham-ḳhāne mahkī huī tanhā.ī
kuchh talḳh haqā.eq ne ma.amūl badal Daale
apnoñ se kam-āmezī ġhairoñ se shanāsā.ī
ye kaun sā aalam hai afsurda-mizājī kā
gulshan meñ bhī vīrānī mahfil meñ bhī tanhā.ī
'iqbāl' jidhar dekho zulmāt ke pahre haiñ
āsāñ-talbī ham ko kis moḌ pe le aa.ī
allah re yaadon ki ye anjuman-arai
hanste hue gham-KHane mahki hui tanhai
kuchh talKH haqaeq ne mamul badal Dale
apnon se kam-amezi ghairon se shanasai
ye kaun sa aalam hai afsurda-mizaji ka
gulshan mein bhi virani mahfil mein bhi tanhai
'iqbaal' jidhar dekho zulmat ke pahre hain
aasan-talbi hum ko kis moD pe le aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.