allah ye kis ka matam hai wo zulf jo bikhri jati hai
allāh ye kis kā mātam hai vo zulf jo bikhrī jaatī hai
āñkheñ hai ki bhīgī jaatī haiñ duniyā hai ki Duubī jaatī hai
kuchh biite dinoñ kī yādeñ haiñ aur chāroñ taraf tanhā.ī sī
mehmāñ haiñ ki aa.e jaate haiñ mahfil hai ki ujḌī jaatī hai
tadbīr ke hāthoñ kuchh na huā taqdīr kī mushkil hal na huī
nāḳhun haiñ ki TuuTe jaate haiñ gutthī hai ki uljhī jaatī hai
kyā koī mohabbat meñ yuuñ bhī benām-o-nishāñ ho jaatā hai
maiñ huuñ ki abhī tak zinda huuñ duniyā hai ki bhūlī jaatī hai
allah ye kis ka matam hai wo zulf jo bikhri jati hai
aankhen hai ki bhigi jati hain duniya hai ki Dubi jati hai
kuchh bite dinon ki yaaden hain aur chaaron taraf tanhai si
mehman hain ki aae jate hain mahfil hai ki ujDi jati hai
tadbir ke hathon kuchh na hua taqdir ki mushkil hal na hui
naKHun hain ki TuTe jate hain gutthi hai ki uljhi jati hai
kya koi mohabbat mein yun bhi benam-o-nishan ho jata hai
main hun ki abhi tak zinda hun duniya hai ki bhuli jati hai
- Book : غزل اس نے چھیڑی-6 (Pg. 181)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.