almari se KHat uske purane nikal aae
almārī se ḳhat us ke purāne nikal aa.e
phir se mire chehre pe ye daane nikal aa.e
maañ baiTh ke taktī thī jahāñ se mirā rasta
miTTī ke haTāte hī ḳhazāne nikal aa.e
mumkin hai hameñ gaañv bhī pahchān na paa.e
bachpan meñ hī ham ghar se kamāne nikal aa.e
ai ret ke zarre tirā ehsān bahut hai
āñkhoñ ko bhigone ke bahāne nikal aa.e
ab tere bulāne se bhī ham aa nahīñ sakte
ham tujh se bahut aage zamāne nikal aa.e
ek ḳhauf sā rahtā hai mire dil meñ hamesha
kis ghar se tirī yaad na jaane nikal aa.e
almari se KHat us ke purane nikal aae
phir se mere chehre pe ye dane nikal aae
man baiTh ke takti thi jahan se mera rasta
miTTi ke haTate hi KHazane nikal aae
mumkin hai hamein ganw bhi pahchan na pae
bachpan mein hi hum ghar se kamane nikal aae
ai ret ke zarre tera ehsan bahut hai
aankhon ko bhigone ke bahane nikal aae
ab tere bulane se bhi hum aa nahin sakte
hum tujh se bahut aage zamane nikal aae
ek KHauf sa rahta hai mere dil mein hamesha
kis ghar se teri yaad na jaane nikal aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.