amal ki rah mein dushwariyan bhi hoti hain
amal kī raah meñ dushvāriyāñ bhī hotī haiñ
kabhī yaqīñ kabhī ḳhush-fahmiyāñ bhī hotī haiñ
bayāz-e-dil pe kabhī dastaḳhat nahīñ karnā
ki ḳhāksārī meñ rusvā.iyāñ bhī hotī haiñ
muzākaroñ hī se hote haiñ hal masā.il ke
qayām-e-amn meñ ḳhūñ-reziyāñ bhī hotī haiñ
palaT ke phir nahīñ dekhā udaas lamhoñ ko
shikasta raah meñ parchhā.iyāñ bhī hotī haiñ
yuuñ bād-e-fat.h nahīñ rahnā ḳhvāb-e-ġhaflat meñ
mahāz-e-jañg meñ paspā.iyāñ bhī hotī haiñ
amal ki rah mein dushwariyan bhi hoti hain
kabhi yaqin kabhi KHush-fahmiyan bhi hoti hain
bayaz-e-dil pe kabhi dastaKHat nahin karna
ki KHaksari mein ruswaiyan bhi hoti hain
muzakaron hi se hote hain hal masail ke
qayam-e-amn mein KHun-reziyan bhi hoti hain
palaT ke phir nahin dekha udas lamhon ko
shikasta rah mein parchhaiyan bhi hoti hain
yun baad-e-fath nahin rahna KHwab-e-ghaflat mein
mahaz-e-jang mein paspaiyan bhi hoti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.