amir lakh idhar se udhar zamana hua
amiir laakh idhar se udhar zamāna huā
vo but vafā pe na aayā maiñ be-vafā na huā
sar-e-niyāz ko terā hī āstāna huā
sharāb-ḳhāna huā yā qimār-ḳhāna huā
huā faroġh jo mujh ko ġham-e-zamāna huā
paḌā jo daaġh jigar meñ charāġh-e-ḳhāna huā
umiid jā ke nahīñ us galī se aane kī
ba-rang-e-umr mirā nāma-bar ravāna huā
hazār shukr na zaa.e' huī mirī khetī
ki barq o sail meñ taqsīm daana daana huā
qadam huzūr ke aa.e mire nasīb khule
javāb-e-qasr-e-sulaimāñ ġharīb-ḳhāna huā
tire jamāl ne zohra ko daur dikhlāyā
tire jalāl se mirrīḳh kā zamāna huā
koī gayā dar-e-jānāñ pe ham hue pāmāl
hamārā sar na huā sañg-e-āstāna huā
faroġh-e-dil kā sabab ho ga.ī bujhī jo havas
sharār-e-kushta se raushan charāġh-e-ḳhāna huā
jab aa.ī josh pe mere karīm kī rahmat
girā jo aañkh se aañsū dur-e-yagāna huā
hasad se zahr tan-e-āsmāñ meñ phail gayā
jo apnī kisht meñ sarsabz koī daana huā
chune mahīnoñ hī tinke ġharīb bulbul ne
magar nasīb na do roz āshiyāna huā
ḳhayāl-e-zulf meñ chhā.ī ye tīrgī shab-e-hijr
ki ḳhāl-e-chehra-e-zaḳhmī charāġh-e-ḳhāna huā
ye josh-e-girya huā mere said hone par
ki chashm-e-dām ke aañsū se sabz daana huā
na pūchh nāz-o-niyāz us ke mere kab se haiñ
ye husn o ishq to ab hai use zamāna huā
uThā.e sadme pe sadme to aabrū paa.ī
amiir TuuT ke dil gauhar-e-yagāna huā
amir lakh idhar se udhar zamana hua
wo but wafa pe na aaya main be-wafa na hua
sar-e-niyaz ko tera hi aastana hua
sharab-KHana hua ya qimar-KHana hua
hua farogh jo mujh ko gham-e-zamana hua
paDa jo dagh jigar mein charagh-e-KHana hua
umid ja ke nahin us gali se aane ki
ba-rang-e-umr mera nama-bar rawana hua
hazar shukr na zae' hui meri kheti
ki barq o sail mein taqsim dana dana hua
qadam huzur ke aae mere nasib khule
jawab-e-qasr-e-sulaiman gharib-KHana hua
tere jamal ne zohra ko daur dikhlaya
tere jalal se mirriKH ka zamana hua
koi gaya dar-e-jaanan pe hum hue pamal
hamara sar na hua sang-e-astana hua
farogh-e-dil ka sabab ho gai bujhi jo hawas
sharar-e-kushta se raushan charagh-e-KHana hua
jab aai josh pe mere karim ki rahmat
gira jo aankh se aansu dur-e-yagana hua
hasad se zahr tan-e-asman mein phail gaya
jo apni kisht mein sarsabz koi dana hua
chune mahinon hi tinke gharib bulbul ne
magar nasib na do roz aashiyana hua
KHayal-e-zulf mein chhai ye tirgi shab-e-hijr
ki KHal-e-chehra-e-zaKHmi charagh-e-KHana hua
ye josh-e-girya hua mere said hone par
ki chashm-e-dam ke aansu se sabz dana hua
na puchh naz-o-niyaz us ke mere kab se hain
ye husn o ishq to ab hai use zamana hua
uThae sadme pe sadme to aabru pai
amir TuT ke dil gauhar-e-yagana hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.