amn ke dawe apilen ishtihaar apni jagah
amn ke da.ave apīleñ ishtihār apnī jagah
hasb-e-sābiq shahr bhar meñ intishār apnī jagah
din-ba-din hālāt kā ruḳh bad se bad-tar kī taraf
roz-o-shab achchhe dinoñ kā intizār apnī jagah
kaar bañgla kār-ḳhāne mahfileñ hotel sharāb
ghar ke andar kī fazā nā-ḳhush-gavār apnī jagah
maiñ sadāqat kā alam-bardār tū bātil-parast
jiit merī tai-shuda hai terī haar apnī jagah
ik payāde ne safoñ ko chiir Daalā jis ghaḌī
muñh hī takte rah ga.e sab shahsavār apnī jagah
ham ki rusvā.ī kī sab se āḳhirī manzil meñ haiñ
aur musallam apne purkhoñ kā vaqār apnī jagah
amn ke dawe apilen ishtihaar apni jagah
hasb-e-sabiq shahr bhar mein intishaar apni jagah
din-ba-din haalat ka ruKH bad se bad-tar ki taraf
roz-o-shab achchhe dinon ka intizar apni jagah
kar bangla kar-KHane mahfilen hotel sharab
ghar ke andar ki faza na-KHush-gawar apni jagah
main sadaqat ka alam-bardar tu baatil-parast
jit meri tai-shuda hai teri haar apni jagah
ek payaade ne safon ko chir Dala jis ghaDi
munh hi takte rah gae sab shahsawar apni jagah
hum ki ruswai ki sab se aaKHiri manzil mein hain
aur musallam apne purkhon ka waqar apni jagah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.