amn-o-aman ki KHatir khai thin humne qasmen
amn-o-aman ki KHatir khai thin humne qasmen
Uddhav Mahajan Bismil
MORE BYUddhav Mahajan Bismil
amn-o-amāñ kī ḳhātir khaa.ī thiiñ ham ne qasmeñ
lekin rahā nahīñ hai ye kaam apne bas meñ
hālāt-e-hāzira ne kī aisī rahnumā.ī
gulshan ko DhūñDte the ham aa ga.e qafas meñ
qudrat ke chāhne se hogā ilaaj is kā
ab ġham nahīñ hai merā duniyā kī dastaras meñ
dair-o-haram se merā bas vāsta hai itnā
ye bhī hai mere bas meñ vo bhī hai mere bas meñ
'bismil' mire azā.em duniyā se haiñ nirāle
hañs kar maiñ jī rahā huuñ rah kar bhī ḳhār-o-ḳhas meñ
amn-o-aman ki KHatir khai thin hum ne qasmen
lekin raha nahin hai ye kaam apne bas mein
haalat-e-hazira ne ki aisi rahnumai
gulshan ko DhunDte the hum aa gae qafas mein
qudrat ke chahne se hoga ilaj is ka
ab gham nahin hai mera duniya ki dastaras mein
dair-o-haram se mera bas wasta hai itna
ye bhi hai mere bas mein wo bhi hai mere bas mein
'bismil' mere azaem duniya se hain nirale
hans kar main ji raha hun rah kar bhi KHar-o-KHas mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.