amn-qariyon ki shafaq-fam sunahri chiDiyan
amn-qariyoñ kī shafaq-fām sunahrī chiḌiyāñ
mere khetoñ meñ uḌiiñ shaam sunahrī chiḌiyāñ
nāriyāñ dil ke mazāfāt meñ utrīñ aa kar
hū-ba-hū jaise sar-e-bām sunahrī chiḌiyāñ
mere uslūb meñ kahtī haiñ fasāne gul ke
chuhleñ kartī haiñ mire naam sunahrī chiḌiyāñ
kachchī umroñ ke sharīroñ ko salāmī merī
jin ke atrāf buneñ daam sunahrī chiḌiyāñ
gul khilātī hai usī shaḳhs kī sāñsoñ kī mahak
jis ke gāvoñ meñ bahut aam sunahrī chiḌiyāñ
amn-qariyon ki shafaq-fam sunahri chiDiyan
mere kheton mein uDin sham sunahri chiDiyan
nariyan dil ke mazafat mein utrin aa kar
hu-ba-hu jaise sar-e-baam sunahri chiDiyan
mere uslub mein kahti hain fasane gul ke
chuhlen karti hain mere nam sunahri chiDiyan
kachchi umron ke shariron ko salami meri
jin ke atraf bunen dam sunahri chiDiyan
gul khilati hai usi shaKHs ki sanson ki mahak
jis ke gawon mein bahut aam sunahri chiDiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.