an-ginat phul intiKHab gulab
an-ginat phuul intiḳhāb gulāb
ādateñ kar gayā ḳharāb gulāb
vo hai nārāz us kī chaukhaT par
le ke jā.ūñgā be-hisāb gulāb
nazr jo kar sakūñgā us ke huzūr
shahr meñ kab vo dastiyāb gulāb
us kī rangat hai kyā badan kaisā
in savāloñ kā hai javāb gulāb
aise lagtā hai ahl-e-dil ke liye
ban gayā ishq kā nisāb gulāb
har na.e phuul meñ tajassus hai
kis tarah se hai kāmyāb gulāb
pattī pattī bikhar gayā kyūñkar
kar na le merā ehtisāb gulāb
an-ginat phul intiKHab gulab
aadaten kar gaya KHarab gulab
wo hai naraaz us ki chaukhaT par
le ke jaunga be-hisab gulab
nazr jo kar sakunga us ke huzur
shahr mein kab wo dastiyab gulab
us ki rangat hai kya badan kaisa
in sawalon ka hai jawab gulab
aise lagta hai ahl-e-dil ke liye
ban gaya ishq ka nisab gulab
har nae phul mein tajassus hai
kis tarah se hai kaamyab gulab
patti patti bikhar gaya kyunkar
kar na le mera ehtisab gulab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.