ana ka naz labaada utar kar dekho
anā kā naaz labāda utaar kar dekho
kisī ke vāste ye jañg haar kar dekho
zarūr hogā koī ās-pās sham.a-ba-dast
añdherī raat sahī tum pukār kar dekho
adū kā saath nibhā kar to tum ne dekh liyā
hamāre saath bhī kuchh din guzār kar dekho
hamārā chāñd bhī kuchh kam nahīñ tum apnā chāñd
bulandiyoñ se zamīñ par utaar kar dekho
agarche aatā nahīñ vo kisī ke kahne meñ
tum apne Dhañg se koshish to yaar kar dekho
ana ka naz labaada utar kar dekho
kisi ke waste ye jang haar kar dekho
zarur hoga koi aas-pas shama-ba-dast
andheri raat sahi tum pukar kar dekho
adu ka sath nibha kar to tum ne dekh liya
hamare sath bhi kuchh din guzar kar dekho
hamara chand bhi kuchh kam nahin tum apna chand
bulandiyon se zamin par utar kar dekho
agarche aata nahin wo kisi ke kahne mein
tum apne Dhang se koshish to yar kar dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.