ana ke moD par socha nahin hai
anā ke moḌ par sochā nahīñ hai
palaT kar phir use dekhā nahīñ hai
Daro is ahd ke ā.īna-gar se
vo gūñgā hai magar andhā nahīñ hai
maiñ jis meñ Duub jaanā chāhtā huuñ
vo dariyā hai magar gahrā nahīñ hai
ab is mauzūa par kyā bahs karnā
tumhārā vo lab-o-lahja nahīñ hai
maiñ ḳhud lafzoñ kī baazī kheltā huuñ
magar is baat kā mauqa nahīñ hai
hamesha kī tarah mohtāt hai vo
mirī dastak pe bhī khultā nahīñ hai
ana ke moD par socha nahin hai
palaT kar phir use dekha nahin hai
Daro is ahd ke aaina-gar se
wo gunga hai magar andha nahin hai
main jis mein Dub jaana chahta hun
wo dariya hai magar gahra nahin hai
ab is mauzua par kya bahs karna
tumhaara wo lab-o-lahja nahin hai
main KHud lafzon ki bazi khelta hun
magar is baat ka mauqa nahin hai
hamesha ki tarah mohtat hai wo
meri dastak pe bhi khulta nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.