ana ki aag mein har lamha jal raha hun main
anā kī aag meñ har lamha jal rahā huuñ maiñ
ġhizā mirī hai yahī is meñ pal rahā huuñ maiñ
kabhī is aag ke sāñche meñ Dhal rahā huuñ maiñ
kabhī ye barf ki jis meñ pighal rahā huuñ maiñ
har ek sub.h ufuq se nikal rahā huuñ maiñ
shafaq meñ apnī har ik shaam Dhal rahā huuñ maiñ
har ek moḌ pe rasta kuchal rahā huuñ maiñ
ki apne qadmoñ se ḳhud ko kuchal rahā huuñ maiñ
maiñ apne zindāñ meñ qaidī banā gayā ḳhud ko
aur apne aap se bach kar nikal rahā huuñ maiñ
koī to bachcha 'hasan' hai chhupā huā mujh meñ
ki jis kī maañg pe har dam machal rahā huuñ maiñ
ana ki aag mein har lamha jal raha hun main
ghiza meri hai yahi is mein pal raha hun main
kabhi is aag ke sanche mein Dhal raha hun main
kabhi ye barf ki jis mein pighal raha hun main
har ek subh ufuq se nikal raha hun main
shafaq mein apni har ek sham Dhal raha hun main
har ek moD pe rasta kuchal raha hun main
ki apne qadmon se KHud ko kuchal raha hun main
main apne zindan mein qaidi bana gaya KHud ko
aur apne aap se bach kar nikal raha hun main
koi to bachcha 'hasan' hai chhupa hua mujh mein
ki jis ki mang pe har dam machal raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.