ana ki qaid se nikle muqabla to kare
anā kī qaid se nikle muqābla to kare
vo merā saath nibhāne kā hausla to kare
kabhī na TūTne vaalā hisār ban jā.ūñ
vo merī zaat meñ rahne kā faisla to kare
use maiñ sauñp duuñ apnī ye muntazir āñkheñ
vo merī khoj meñ jaane kā tazkira to kare
zamāne bhar ko maiñ apnī giraft meñ le luuñ
mirā nasīb mujhe tujh se māvarā to kare
maiñ us ko kho ke adhūrā vo mujh ko pā ke udaas
hamāre karb kā koī muāzna to kare
ana ki qaid se nikle muqabla to kare
wo mera sath nibhane ka hausla to kare
kabhi na TuTne wala hisar ban jaun
wo meri zat mein rahne ka faisla to kare
use main saunp dun apni ye muntazir aankhen
wo meri khoj mein jaane ka tazkira to kare
zamane bhar ko main apni giraft mein le lun
mera nasib mujhe tujh se mawara to kare
main us ko kho ke adhura wo mujh ko pa ke udas
hamare karb ka koi muazna to kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.