andaz-e-fikr apna badal kar to dekhiye
andaz-e-fikr apna badal kar to dekhiye
Khwaja Rafat Husain Naiyer
MORE BYKhwaja Rafat Husain Naiyer
andāz-e-fikr apnā badal kar to dekhiye
nafrat ke dā.eroñ se nikal kar to dekhiye
ham haiñ vafā-parast ye aa jā.egā nazar
ainak ko aap apnī badal kar to dekhiye
manzil zarūr chūmegī qadmoñ ko aap ke
azm-e-safar ke saath nikal kar to dekhiye
har-dil-azīz aap bhī ban jā.eñge huzūr
ḳhol-e-anā se apne nikal kar to dekhiye
ḳhud miT ke faiz auroñ ko dene ke lutf ko
'nayyar' sham.a sā aap bhī jal kar to dekhiye
andaz-e-fikr apna badal kar to dekhiye
nafrat ke daeron se nikal kar to dekhiye
hum hain wafa-parast ye aa jaega nazar
ainak ko aap apni badal kar to dekhiye
manzil zarur chumegi qadmon ko aap ke
azm-e-safar ke sath nikal kar to dekhiye
har-dil-aziz aap bhi ban jaenge huzur
KHol-e-ana se apne nikal kar to dekhiye
KHud miT ke faiz auron ko dene ke lutf ko
'nayyar' shama sa aap bhi jal kar to dekhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.