andaz-e-guftugu ko bhi takrar mat bata
andāz-e-guftugū ko bhī takrār mat batā
hargiz zabāñ ko tīr-o-talvār mat batā
is zindagī ko Dar ke masā.ib kī dhuup se
rāhat kī chhāñv ke liye ġham-ḳhvār mat batā
zar zan zamīn asl meñ tīnoñ haiñ fitna-gar
hirs-o-havas kā dil ko talabgār mat batā
nādān dil ko zarf se ḳhālī dimāġh ko
apnā rafīq apnā madad-gār mat batā
'anvar' nashāt-o-aish meñ duniyā kī Duub kar
mulk-e-adam kī raah ko pur-ḳhār mat batā
andaz-e-guftugu ko bhi takrar mat bata
hargiz zaban ko tir-o-talwar mat bata
is zindagi ko Dar ke masaib ki dhup se
rahat ki chhanw ke liye gham-KHwar mat bata
zar zan zamin asl mein tinon hain fitna-gar
hirs-o-hawas ka dil ko talabgar mat bata
nadan dil ko zarf se KHali dimagh ko
apna rafiq apna madad-gar mat bata
'anwar' nashat-o-aish mein duniya ki Dub kar
mulk-e-adam ki rah ko pur-KHar mat bata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.