andaz-e-numu kaisa alamnak nikala
andāz-e-numū kaisā alamnāk nikālā
paivand-e-badan merā sar-e-ḳhāk nikālā
us ne dil-e-be-kaif ko bīmār samajh kar
darmāñ ke liye nashtar-e-saffāk nikālā
imkān kī godī ke pale zehn-e-rasā ne
ik sabza miyān-e-ḳhas-o-ḳhāshāk nikālā
sahrā kī tapish pyaas kī shiddat thī ki us ne
bhūlā huā ik qissa-e-namnāk nikālā
afsos salātīn chukā paa.e na qīmat
siine se jo ham ne dur-e-aflāk nikālā
andaz-e-numu kaisa alamnak nikala
paiwand-e-badan mera sar-e-KHak nikala
us ne dil-e-be-kaif ko bimar samajh kar
darman ke liye nashtar-e-saffak nikala
imkan ki godi ke pale zehn-e-rasa ne
ek sabza miyan-e-KHas-o-KHashak nikala
sahra ki tapish pyas ki shiddat thi ki us ne
bhula hua ek qissa-e-namnak nikala
afsos salatin chuka pae na qimat
sine se jo hum ne dur-e-aflak nikala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.