andar ka sukut kah raha hai
andar kā sukūt kah rahā hai
miTTī kā makān bah rahā hai
shabnam ke amal se gul thā larzāñ
sūraj kā itaab sah rahā hai
bistar meñ khulā ki thā akahrā
vo jism jo tah-ba-tah rahā hai
patthar ko nichoḌne se hāsil
har chand nadī meñ rah rahā hai
ā.īna pighal chukā hai 'shāhid'
sākit huuñ maiñ aks bah rahā hai
andar ka sukut kah raha hai
miTTi ka makan bah raha hai
shabnam ke amal se gul tha larzan
suraj ka itab sah raha hai
bistar mein khula ki tha akahra
wo jism jo tah-ba-tah raha hai
patthar ko nichoDne se hasil
har chand nadi mein rah raha hai
aaina pighal chuka hai 'shahid'
sakit hun main aks bah raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.