Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

andhe adam wajud ke girdab se nikal

Arif Shafiq

andhe adam wajud ke girdab se nikal

Arif Shafiq

MORE BYArif Shafiq

    andhe adam vajūd ke girdāb se nikal

    ye zindagī bhī ḳhvāb hai ḳhvāb se nikal

    sūraj se apne bichhḌī huī ik kiran hai

    terā nasīb jism ke barfāb se nikal

    miTTī paanī aag havā meñ hai qaid kyuuñ

    hone de javāz tab-o-tāb se nikal

    phūloñ meñ chāñd tāroñ meñ sūraj meñ us ko dekh

    in pattharoñ ke mimbar o mehrāb se nikal

    murjhā na jaa.e dekh kahīñ ruuh gulāb

    faanī jahāñ vādi-e-shādāb se nikal

    ban ke jazīra ubhregā kirdār ḳhud tirā

    ḳhush-rañg ḳhvāhishoñ ke sailāb se nikal

    kahtī haiñ mujh se soch samundar vus.ateñ

    'ārif' apnī zaat ke tālāb se nikal

    andhe adam wajud ke girdab se nikal

    ye zindagi bhi KHwab hai tu KHwab se nikal

    suraj se apne bichhDi hui ek kiran hai tu

    tera nasib jism ke barfab se nikal

    tu miTTi pani aag hawa mein hai qaid kyun

    hone ka de jawaz tab-o-tab se nikal

    phulon mein chand taron mein suraj mein us ko dekh

    in pattharon ke mimbar o mehrab se nikal

    murjha na jae dekh kahin ruh ka gulab

    fani jahan ki wadi-e-shadab se nikal

    ban ke jazira ubhrega kirdar KHud tera

    KHush-rang KHwahishon ke tu sailab se nikal

    kahti hain mujh se soch samundar ki wusaten

    'arif' tu apni zat ke talab se nikal

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now