andhe raston par phailaun hath kahan
andhe rastoñ par phailā.ūñ haath kahāñ
mere nasīboñ meñ tāroñ kī raat kahāñ
Daalī Daalī jugnū aur sharāre haiñ
resham ke kiiḌe kī ye auqāt kahāñ
us se mileñ aur sukh-dukh kī bāteñ kar leñ
ik tarīq pe rahte haiñ hālāt kahāñ
raat huī aur niiñd jazīre meñ pahuñchī
be-patvār kī kashtī meñ ye baat kahāñ
pichhlā mausam be-samarī meñ biit gayā
aglī rut meñ haath ā.eñge paat kahāñ
ghar jaise phal phuul kahāñ milte haiñ 'ḳhumār'
ghar sī ne.amat miltī hai din raat kahāñ
andhe raston par phailaun hath kahan
mere nasibon mein taron ki raat kahan
Dali Dali jugnu aur sharare hain
resham ke kiDe ki ye auqat kahan
us se milen aur sukh-dukh ki baaten kar len
ek tariq pe rahte hain haalat kahan
raat hui aur nind jazire mein pahunchi
be-patwar ki kashti mein ye baat kahan
pichhla mausam be-samari mein bit gaya
agli rut mein hath aaenge pat kahan
ghar jaise phal phul kahan milte hain 'KHumar'
ghar si neamat milti hai din raat kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.