andhere ko nigalta ja raha hun
añdhere ko nigaltā jā rahā huuñ
diyā huuñ aur jaltā jā rahā huuñ
mirī har samt ye saa.e se kyuuñ haiñ
maiñ jaise din huuñ Dhaltā jā rahā huuñ
dhuāñ sā phailtā jaatā huuñ bujh kar
hadoñ se ab nikaltā jā rahā huuñ
zavāl-e-ādamiyyat dekh kar maiñ
kaf-e-afsos maltā jā rahā huuñ
mujhe to TūTnā hai hashr ban kar
na jaane kyuuñ maiñ Taltā jā rahā huuñ
maiñ zinda huuñ ka.ī sadiyoñ se ab tak
faqat chehre badaltā jā rahā huuñ
andhere ko nigalta ja raha hun
diya hun aur jalta ja raha hun
meri har samt ye sae se kyun hain
main jaise din hun Dhalta ja raha hun
dhuan sa phailta jata hun bujh kar
hadon se ab nikalta ja raha hun
zawal-e-adamiyyat dekh kar main
kaf-e-afsos malta ja raha hun
mujhe to TuTna hai hashr ban kar
na jaane kyun main Talta ja raha hun
main zinda hun kai sadiyon se ab tak
faqat chehre badalta ja raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.