andhere mein bala si
añdhere meñ balā sī
udāsī hī udāsī
kisī ke tan kī ḳhushbū
phire uḌtī havā sī
mohabbat ko zabāñ dī
ḳhamoshī kī duā sī
vahī insāñ darinda
magar sūrat judā sī
ye be-qābū tabī.at
lage pyārī ḳhatā sī
chaḌhī umḌī javānī
na.ī rut kī ghaTā sī
khulī ḳhvāhish kī koñpal
bahut kamsin zarā sī
andhere mein bala si
udasi hi udasi
kisi ke tan ki KHushbu
phire uDti hawa si
mohabbat ko zaban di
KHamoshi ki dua si
wahi insan darinda
magar surat juda si
ye be-qabu tabiat
lage pyari KHata si
chaDhi umDi jawani
nai rut ki ghaTa si
khuli KHwahish ki konpal
bahut kamsin zara si
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.