Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

andheron mein bhaTakna hai pareshani mein rahna hai

Khushbir Singh Shaad

andheron mein bhaTakna hai pareshani mein rahna hai

Khushbir Singh Shaad

MORE BYKhushbir Singh Shaad

    añdheroñ meñ bhaTaknā hai pareshānī meñ rahnā hai

    maiñ jugnū huuñ mujhe ik shab vīrānī meñ rahnā hai

    abhī kuchh zabt yaarā mirī āñkhoñ meñ baaqī hai

    abhī ashkoñ ko palkoñ nigahbānī meñ rahnā hai

    jo manzar rū-ba-rū hai dekh luuñ ik baar bhar ke

    phir is ke ba.ad to āñkhoñ ko hairānī meñ rahnā hai

    tirī vahshat samajhtā huuñ ai merī aarzū lekin

    tujhe kuchh din abhī is dil vīrānī meñ rahnā hai

    phir kyuuñ lauT kar har baar aa jaatī haiñ sāhil par

    agar in kashtiyoñ ko umr bhar paanī meñ rahnā hai

    isī ummīd par to kaaT liiñ ye mushkileñ ham ne

    ab is ke ba.ad to ai 'shād' āsānī meñ rahnā hai

    andheron mein bhaTakna hai pareshani mein rahna hai

    main jugnu hun mujhe ek shab ki virani mein rahna hai

    abhi kuchh zabt ka yara meri aankhon mein baqi hai

    abhi ashkon ko palkon ki nigahbani mein rahna hai

    jo manzar ru-ba-ru hai dekh lun ek bar ji bhar ke

    phir is ke baad to aankhon ko hairani mein rahna hai

    teri wahshat samajhta hun ai meri aarzu lekin

    tujhe kuchh din abhi is dil ki virani mein rahna hai

    tu phir kyun lauT kar har bar aa jati hain sahil par

    agar in kashtiyon ko umr bhar pani mein rahna hai

    isi ummid par to kaT lin ye mushkilen hum ne

    ab is ke baad to ai 'shad' aasani mein rahna hai

    Source :
    • Book : Zara ye Dhoop Dhal Jaye (Pg. 88)
    • Author : Khushbir Singh Shaad
    • Publication : Suman Parkashan, Bhadoriya Complex, Lucknow (2005)
    • Edition : 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now