andhiyare aankh-ankh mein pahna gai hai sham
añdhiyāre āñkh-āñkh meñ pahnā ga.ī hai shaam
ik chādar-e-siyāh ko phailā ga.ī hai shaam
rāhoñ meñ kho ga.ī haiñ mohabbat kī deviyāñ
jaise har ek moḌ pe bahkā ga.ī hai shaam
maġhrib kī samt jab kabhī sūraj utar gayā
ghar meñ diyā jalāne chalī aa ga.ī hai shaam
samtoñ meñ baT ga.e haiñ ujāloñ ke ham-navā
be-samt dekh kar mujhe sahrā ga.ī hai shaam
jis samt dekhtā huuñ shuāoñ ke zaḳhm haiñ
kis kī nigāh-e-nāz se Takrā ga.ī hai shaam
apne vajūd se maiñ bichhaḌ kar bhaTak gayā
tanhā.iyoñ ke zaḳhm se mahkā ga.ī hai shaam
shahroñ ke āsmāñ pe parindoñ kā shor hai
manzar koī hasīn sā dikhlā ga.ī hai shaam
barsoñ se chal rahī thī ye mausam ke saath saath
merī galī meñ aan ke sustā ga.ī hai shaam
'sājid' uTho yahāñ se ki mausam udaas hai
sūraj bichhaḌ gayā hai chalo aa ga.ī hai shaam
andhiyare aankh-ankh mein pahna gai hai sham
ek chadar-e-siyah ko phaila gai hai sham
rahon mein kho gai hain mohabbat ki dewiyan
jaise har ek moD pe bahka gai hai sham
maghrib ki samt jab kabhi suraj utar gaya
ghar mein diya jalane chali aa gai hai sham
samton mein baT gae hain ujalon ke ham-nawa
be-samt dekh kar mujhe sahra gai hai sham
jis samt dekhta hun shuaon ke zaKHm hain
kis ki nigah-e-naz se Takra gai hai sham
apne wajud se main bichhaD kar bhaTak gaya
tanhaiyon ke zaKHm se mahka gai hai sham
shahron ke aasman pe parindon ka shor hai
manzar koi hasin sa dikhla gai hai sham
barson se chal rahi thi ye mausam ke sath sath
meri gali mein aan ke susta gai hai sham
'sajid' uTho yahan se ki mausam udas hai
suraj bichhaD gaya hai chalo aa gai hai sham
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.