andoh se hui na rihai tamam shab
andoh se huī na rihā.ī tamām shab
mujh dil-zada ko niiñd na aa.ī tamām shab
jab maiñ shurū qissa kiyā āñkheñ khol diiñ
yaanī thī mujh ko chasm-numā.ī tamām shab
chashmak chalī ga.ī thī sitāroñ kī sub.h tak
kī āsmāñ ne dīda-darā.ī tamām shab
baḳht-e-siyah ne der meñ kal yāvarī sī kī
thī dushmanoñ se us ko laḌā.ī tamām shab
baiThe hī guzrī vaade kī shab vo na aa phirā
iizā ajab tarah kī uThā.ī tamām shab
sanñāhaTeñ se dil se guzar jaa.eñ so kahāñ
bulbul ne go kī nāla-sarā.ī tamām shab
taare se merī palkoñ pe qatre sarishk ke
dete rahe haiñ 'mīr' dikhā.ī tamām shab
andoh se hui na rihai tamam shab
mujh dil-zada ko nind na aai tamam shab
jab main shuru qissa kiya aankhen khol din
yani thi mujh ko chasm-numai tamam shab
chashmak chali gai thi sitaron ki subh tak
ki aasman ne dida-darai tamam shab
baKHt-e-siyah ne der mein kal yawari si ki
thi dushmanon se us ko laDai tamam shab
baiThe hi guzri wade ki shab wo na aa phira
iza ajab tarah ki uThai tamam shab
sannahaTen se dil se guzar jaen so kahan
bulbul ne go ki nala-sarai tamam shab
tare se meri palkon pe qatre sarishk ke
dete rahe hain 'mir' dikhai tamam shab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.