anjam KHushi ka duniya mein sach kahte ho gham hota hai
anjam KHushi ka duniya mein sach kahte ho gham hota hai
Sayad Mohammad Abdul Ghafoor Shahbaz
MORE BYSayad Mohammad Abdul Ghafoor Shahbaz
anjām ḳhushī kā duniyā meñ sach kahte ho ġham hotā hai
sābit hai gul aur shabnam se jo hañstā hai vo rotā hai
ham shauq kā naama likhte haiñ ki sabr ai dil kyuuñ rotā hai
ye kyā tarkīb hai ai zālim ham likhte haiñ tū dhotā hai
hai dil ik mard-e-āḳhir-bīñ apne āmāl par rotā hai
gar Duub ke dekho ashk nahīñ motī se kuchh ye pirotā hai
ghar is se ishq kā bantā hai dil saḳhtī se kyuuñ ghabrā.e
shīrīñ ye mahal uThvātī hai farhād ye patthar Dhotā hai
Thukrā kar naash har iisā kahtā hai naaz se ho barham
uTh jald khaḌe haiñ der se ham kin nīndoñ ġhāfil sotā hai
ham ro ro ashk bahāte haiñ vo tūfāñ baiThe uThāte haiñ
yuuñ hañs hañs kar farmāte haiñ kyuuñ mard kā naam Dubotā hai
kyā sañg-dilī hai ulfat meñ ham jis kī jaan se jaate haiñ
anjān vo ban kar kahtā hai kyuuñ jaan ye apnī khotā hai
le de ke saare aalam meñ hamdard jo pūchho ik dil hai
maiñ dil ke haal pe rotā huuñ dil mere haal pe rotā hai
dukh dard ne aisā zaar kiyā ik gaam bhī chalnā dūbhar hai
chaliye to jism-e-zār apnā ḳhud raah meñ kāñTe botā hai
vo umañg kahāñ vo shabāb kahāñ hue donoñ nazr-e-ishq-mizha
pūchho mat aalam dil kā mire nishtar sā koī chubhotā hai
anjam KHushi ka duniya mein sach kahte ho gham hota hai
sabit hai gul aur shabnam se jo hansta hai wo rota hai
hum shauq ka nama likhte hain ki sabr ai dil kyun rota hai
ye kya tarkib hai ai zalim hum likhte hain tu dhota hai
hai dil ek mard-e-aKHir-bin apne aamal par rota hai
gar Dub ke dekho ashk nahin moti se kuchh ye pirota hai
ghar is se ishq ka banta hai dil saKHti se kyun ghabrae
shirin ye mahal uThwati hai farhad ye patthar Dhota hai
Thukra kar nash har isa kahta hai naz se ho barham
uTh jald khaDe hain der se hum kin nindon ghafil sota hai
hum ro ro ashk bahate hain wo tufan baiThe uThate hain
yun hans hans kar farmate hain kyun mard ka nam Dubota hai
kya sang-dili hai ulfat mein hum jis ki jaan se jate hain
anjaan wo ban kar kahta hai kyun jaan ye apni khota hai
le de ke sare aalam mein hamdard jo puchho ek dil hai
main dil ke haal pe rota hun dil mere haal pe rota hai
dukh dard ne aisa zar kiya ek gam bhi chalna dubhar hai
chaliye to jism-e-zar apna KHud rah mein kanTe bota hai
wo umang kahan wo shabab kahan hue donon nazr-e-ishq-mizha
puchho mat aalam dil ka mere nishtar sa koi chubhota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.