apna aap tamasha kar ke dekhunga
apnā aap tamāshā kar ke dekhūñgā
ḳhud se ḳhud ko minhā kar ke dekhūñgā
vo shola hai yā chashma kuchh bhed khule
patthar-dil meñ rasta kar ke dekhūñgā
kab bichhḌā thā kaun ghaḌī thī yaad nahīñ
lamha lamha yakjā kar ke dekhūñgā
vaada kar ke log bhulā kyuuñ dete haiñ
ab ke maiñ bhī aisā kar ke dekhūñgā
kitnā sachchā hai vo merī chāhat meñ
'mohsin' ḳhud ko rusvā kar ke dekhūñgā
apna aap tamasha kar ke dekhunga
KHud se KHud ko minha kar ke dekhunga
wo shola hai ya chashma kuchh bhed khule
patthar-dil mein rasta kar ke dekhunga
kab bichhDa tha kaun ghaDi thi yaad nahin
lamha lamha yakja kar ke dekhunga
wada kar ke log bhula kyun dete hain
ab ke main bhi aisa kar ke dekhunga
kitna sachcha hai wo meri chahat mein
'mohsin' KHud ko ruswa kar ke dekhunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.