apna ahd-e-wafa nibhata hun
apnā ahd-e-vafā nibhātā huuñ
ab use roz gungunātā huuñ
merī himmat na pūchhiye sāhab
ret par kashtiyāñ chalātā huuñ
do farīqoñ ke darmiyāñ aksar
maiñ mohabbat ke pul banātā huuñ
merī imdād aur kuchh bhī nahīñ
maiñ faqat hausle baḌhātā huuñ
āj-kal penciloñ se kāġhaz par
dhuup meñ roTiyāñ banātā huuñ
maiñ kabhī dushmanī nahīñ kartā
aur ho jaa.e to nibhātā huuñ
faisle apne chhoḌ kar un par
zarf logoñ ke āzmātā huuñ
apna ahd-e-wafa nibhata hun
ab use roz gungunata hun
meri himmat na puchhiye sahab
ret par kashtiyan chalata hun
do fariqon ke darmiyan aksar
main mohabbat ke pul banata hun
meri imdad aur kuchh bhi nahin
main faqat hausle baDhata hun
aaj-kal pencilon se kaghaz par
dhup mein roTiyan banata hun
main kabhi dushmani nahin karta
aur ho jae to nibhata hun
faisle apne chhoD kar un par
zarf logon ke aazmata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.