apna bimar hai dil ishq ka bimar nahin
apnā bīmār hai dil ishq kā bīmār nahīñ
ḳhud tashaffī ke sivā hijr kā āzār nahīñ
tīrgī aisī ġhazab kī ki ayāzan-billāh
aisā lagtā hai ki ghar hai dar-o-dīvār nahīñ
hashr ke ba.ad bhī vīrāñ hī rahegī jannat
kaun haqdār hai koī bhī to haqdār nahīñ
tah maiñ kuchh aur haiñ uupar se haiñ ḳhabreñ kuchh aur
bā-ḳhabar tum bhī nahīñ maiñ bhī ḳhabar-dār nahīñ
jis kī chaukhaT pe bhī ruktā huuñ yahī lagtā hai
ye dar-e-yār nahīñ ye bhī dar-e-yār nahīñ
nekiyoñ ke liye māhaul muāfiq bhī to ho
kaun kahtā hai ki merā koī kirdār nahīñ
apna bimar hai dil ishq ka bimar nahin
KHud tashaffi ke siwa hijr ka aazar nahin
tirgi aisi ghazab ki ki ayazan-billah
aisa lagta hai ki ghar hai dar-o-diwar nahin
hashr ke baad bhi viran hi rahegi jannat
kaun haqdar hai koi bhi to haqdar nahin
tah main kuchh aur hain upar se hain KHabren kuchh aur
ba-KHabar tum bhi nahin main bhi KHabar-dar nahin
jis ki chaukhaT pe bhi rukta hun yahi lagta hai
ye dar-e-yar nahin ye bhi dar-e-yar nahin
nekiyon ke liye mahaul muafiq bhi to ho
kaun kahta hai ki mera koi kirdar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.