apna diwana bana kar le jae
apnā dīvāna banā kar le jaa.e
kabhī vo aa.e aur aa kar le jaa.e
roz buniyād uThātā huuñ na.ī
roz sailāb bahā kar le jaa.e
husn vāloñ meñ koī aisā ho
jo mujhe mujh se churā kar le jaa.e
rañg-e-rukHsār pe itrāo nahīñ
jaane kab vaqt uḌā kar le jaa.e
kise mālūm kahāñ kaun kise
apne raste pe lagā kar le jaa.e
'āftāb' ek to aisā ho kahīñ
jo hameñ apnā banā kar le jaa.e
apna diwana bana kar le jae
kabhi wo aae aur aa kar le jae
roz buniyaad uThata hun nai
roz sailab baha kar le jae
husn walon mein koi aisa ho
jo mujhe mujh se chura kar le jae
rang-e-rukHsar pe itrao nahin
jaane kab waqt uDa kar le jae
kise malum kahan kaun kise
apne raste pe laga kar le jae
'aftab' ek to aisa ho kahin
jo hamein apna bana kar le jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.