apna dukhDa kahte hain
apnā dukhḌā kahte haiñ
aur tujhe kyā kahte haiñ
kachchī koñpal hotā hai
pyaar kā rishta kahte haiñ
duniyā kis kī apnī hai
ahl-e-duniyā kahte haiñ
ai dil ye dar-māñdagiyāñ
tujh ko dariyā kahte haiñ
apnā sā bas lagtā hai
jis ko apnā kahte haiñ
lūTne vāle! der na kar
luuT ke le jā kahte haiñ
'gauhar' log to baat nahīñ
baat kā sehrā kahte haiñ
apna dukhDa kahte hain
aur tujhe kya kahte hain
kachchi konpal hota hai
pyar ka rishta kahte hain
duniya kis ki apni hai
ahl-e-duniya kahte hain
ai dil ye dar-mandagiyan
tujh ko dariya kahte hain
apna sa bas lagta hai
jis ko apna kahte hain
luTne wale! der na kar
luT ke le ja kahte hain
'gauhar' log to baat nahin
baat ka sehra kahte hain
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 428)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.