apna ejaz dikha de saqi
apnā ejaaz dikhā de saaqī
aag se aag bujhā de saaqī
naqsh-e-bedād miTā de saaqī
ham ko āzād banā de saaqī
vo uThīñ kaalī ghaTā.eñ tauba
ab to piine kī razā de saaqī
jis se so.e hue dil chauñk uTheñ
naġhma ik aisā sunā de saaqī
tujh ko mustaqbil-e-zarrīñ kī qasam
pichhlī bātoñ ko bhulā de saaqī
sadr-e-mai-ḳhāna banāyā thā kabhī
ab jahāñ chāhe biThā de saaqī
vo jo tasbīh liye hai us ko
mere aage se uThā de saaqī
nashshā-e-fikr abhī baaqī hai
ek jaam aur uThā de saaqī
qasr-e-auhām ko Dhāne ke liye
saarā mai-ḳhāna luñDhā de saaqī
sab jise kahte haiñ 'vāmiq' 'vāmiq'
ham ko bhī us se milā de saaqī
apna ejaz dikha de saqi
aag se aag bujha de saqi
naqsh-e-bedad miTa de saqi
hum ko aazad bana de saqi
wo uThin kali ghaTaen tauba
ab to pine ki raza de saqi
jis se soe hue dil chaunk uThen
naghma ek aisa suna de saqi
tujh ko mustaqbil-e-zarrin ki qasam
pichhli baaton ko bhula de saqi
sadr-e-mai-KHana banaya tha kabhi
ab jahan chahe biTha de saqi
wo jo tasbih liye hai us ko
mere aage se uTha de saqi
nashsha-e-fikr abhi baqi hai
ek jam aur uTha de saqi
qasr-e-auham ko Dhane ke liye
sara mai-KHana lunDha de saqi
sab jise kahte hain 'wamiq' 'wamiq'
hum ko bhi us se mila de saqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.