apna ghar bazar mein kyun rakh diya
apnā ghar bāzār meñ kyuuñ rakh diyā
vāqi.a aḳhbār meñ kyuuñ rakh diyā
ḳhvāb kī apnī bhī ik tauqīr hai
dīda-e-bedār meñ kyuuñ rakh diyā
khel meñ ḳhāna badalne ke liye
apnā mohara haar meñ kyuuñ rakh diyā
sar bachāne tak to shāyad Thiik ho
ḳhauf ye dastār meñ kyuuñ rakh diyā
niiñd na aanā ye rātoñ ko 'nishāt'
dil ko is āzār meñ kyuuñ rakh diyā
apna ghar bazar mein kyun rakh diya
waqia aKHbar mein kyun rakh diya
KHwab ki apni bhi ek tauqir hai
dida-e-bedar mein kyun rakh diya
khel mein KHana badalne ke liye
apna mohara haar mein kyun rakh diya
sar bachane tak to shayad Thik ho
KHauf ye dastar mein kyun rakh diya
nind na aana ye raaton ko 'nishat'
dil ko is aazar mein kyun rakh diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.