apna hona bana raha hun main
apnā honā banā rahā huuñ maiñ
dil se duniyā banā rahā huuñ maiñ
ek dhaḌkā lagā hai siine ko
aisā bhī kyā banā rahā huuñ maiñ
dil ko bela banāyā ab is par
hiir rāñjhā banā rahā huuñ maiñ
rad maiñ kartā huuñ sab ravayyoñ ko
rasta apnā banā rahā huuñ maiñ
pahle kāġhaz pe pyaas likkhā thā
is pe sahrā banā rahā huuñ maiñ
apna hona bana raha hun main
dil se duniya bana raha hun main
ek dhaDka laga hai sine ko
aisa bhi kya bana raha hun main
dil ko bela banaya ab is par
hir ranjha bana raha hun main
rad main karta hun sab rawayyon ko
rasta apna bana raha hun main
pahle kaghaz pe pyas likkha tha
is pe sahra bana raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.