apna hota na kisi chashm-e-digar mein rahta
apnā hotā na kisī chashm-e-digar meñ rahtā
aur kuchh roz jo maiñ terī nazar meñ rahtā
fāsla dekh zarā rizq-o-mohabbat ke beach
aur ḳhud soch ki kab tak maiñ safar meñ rahtā
koī apnoñ ke alāva bhī nibhātā mirā saath
koī lahroñ ke alāva bhī bhañvar meñ rahtā
apnī ummīd to sarhad pe hī dam toḌ ga.ī
ab vo īrān meñ rahtā ki qatar meñ rahtā
us ke jaate hī mohabbat ko nikālā dil se
varna ye saañp bahut der khañDar meñ rahtā
apna hota na kisi chashm-e-digar mein rahta
aur kuchh roz jo main teri nazar mein rahta
fasla dekh zara rizq-o-mohabbat ke beach
aur KHud soch ki kab tak main safar mein rahta
koi apnon ke alawa bhi nibhata mera sath
koi lahron ke alawa bhi bhanwar mein rahta
apni ummid to sarhad pe hi dam toD gai
ab wo iran mein rahta ki qatar mein rahta
us ke jate hi mohabbat ko nikala dil se
warna ye sanp bahut der khanDar mein rahta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.