apna rafiq-o-ashna ghair-e-KHuda koi nahin
apna rafiq-o-ashna ghair-e-KHuda koi nahin
Mushafi Ghulam Hamdani
MORE BYMushafi Ghulam Hamdani
apnā rafīq-o-āshnā ġhair-e-ḳhudā koī nahīñ
ranj-o-mehan meñ ġham-zadā ġhair-e-ḳhudā koī nahīñ
pūchhā jo maiñ hakīm se illat-e-kun-fakāñ hai kaun
soch ke us ne ye kahā ġhair-e-ḳhudā koī nahīñ
kā'be kā shab ko maiñ jo jā halqa-e-dar hilā diyā
aa.ī sadā ye andar aa ġhair-e-ḳhudā koī nahīñ''
aarif agar ba-chashm-e-ġhaur ā.īna-e-jahāñ ke biich
dekhe to samjhe rūnumā ġhair-e-ḳhudā koī nahīñ
garche jahāñ hai mā-sivā zaat ke us kī 'mus.hafī'
sochiye phir to mā-sivā ġhair-e-ḳhudā koī nahīñ
apna rafiq-o-ashna ghair-e-KHuda koi nahin
ranj-o-mehan mein gham-zada ghair-e-KHuda koi nahin
puchha jo main hakim se illat-e-kun-fakan hai kaun
soch ke us ne ye kaha ghair-e-KHuda koi nahin
ka'be ka shab ko main jo ja halqa-e-dar hila diya
aai sada ye andar aa ghair-e-KHuda koi nahin
aarif agar ba-chashm-e-ghaur aaina-e-jahan ke bich
dekhe to samjhe runuma ghair-e-KHuda koi nahin
garche jahan hai ma-siwa zat ke us ki 'mushafi'
sochiye phir to ma-siwa ghair-e-KHuda koi nahin
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(Vol-4)(pdf) (Pg. 197)
- Author : Ghulam hamdani Mashafi
- Publication : Qaumi council baraye -farogh urdu (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.