apna shahkar abhi ai mere but-gar na bana
apnā shahkār abhī ai mire but-gar na banā
dil dhaḌaktā hai mirā tū mujhe patthar na banā
qaid-e-āvārgī-e-jāñ hī bahut hai mujh ko
ek dīvār mirī ruuh ke andar na banā
aatī jaatī huī sāñsoñ pe lakīreñ mat khīñch
merī tasvīr mujhe paas biThā kar na banā
vo gharauñde tire bachpan meñ bhī Dah detī thī
ab to vo khel kī bāteñ bhī nahīñ ghar na banā
ik tirā dhyān jo TūTegā bikhar jā.ūñgā
mujh ko ik lahr pe bahne de samundar na banā
apna shahkar abhi ai mere but-gar na bana
dil dhaDakta hai mera tu mujhe patthar na bana
qaid-e-awargi-e-jaan hi bahut hai mujh ko
ek diwar meri ruh ke andar na bana
aati jati hui sanson pe lakiren mat khinch
meri taswir mujhe pas biTha kar na bana
wo gharaunde tere bachpan mein bhi Dah deti thi
ab to wo khel ki baaten bhi nahin ghar na bana
ek tera dhyan jo TuTega bikhar jaunga
mujh ko ek lahr pe bahne de samundar na bana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.