apna wajud maine ab is tarah pak kar liya
apnā vajūd maiñ ne ab is tarah paak kar liyā
jal kar tamām ishq meñ ḳhud ko hī ḳhaak kar liyā
us ke liye to khel thā shoḳhī thī yā mazāq thā
maiñ ne hī sab mo.āmla andoh-nāk kar liyā
ab ke junūñ meñ sāneha aisā bhī ho gayā ki bas
dāman to ḳhair chhoḌiye siina hī chaak kar liyā
us se na rābta rahe us kī ḳhushī isī meñ thī
us kī ḳhushī ke vāste ḳhud ko halāk kar liyā
ḳhvāboñ se vo nikal ke ab āñkhoñ meñ jāgne lagā
maiñ ne shadīd ishq meñ vo inhimāk kar liyā
aisā thā dil kā sāneha vo sañg-dil bhī ro paḌā
'ḳhālid' ne jab zarā se ġham kā ishtirāk kar liyā
apna wajud main ne ab is tarah pak kar liya
jal kar tamam ishq mein KHud ko hi KHak kar liya
us ke liye to khel tha shoKHi thi ya mazaq tha
main ne hi sab moamla andoh-nak kar liya
ab ke junun mein saneha aisa bhi ho gaya ki bas
daman to KHair chhoDiye sina hi chaak kar liya
us se na rabta rahe us ki KHushi isi mein thi
us ki KHushi ke waste KHud ko halak kar liya
KHwabon se wo nikal ke ab aankhon mein jagne laga
main ne shadid ishq mein wo inhimak kar liya
aisa tha dil ka saneha wo sang-dil bhi ro paDa
'KHalid' ne jab zara se gham ka ishtirak kar liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.