apne afkar-o-andaz naya deta hun
apne afkār-o-andāz nayā detā huuñ
ḳhushk manzar meñ hasīñ rañg milā detā huuñ
kitnā hotā hai mire dil ko ḳhushī kā ehsās
koī paudā jo sar raah lagā detā huuñ
vaise to saare zamāne se chhupā hai mirā haal
tum agar pūchh rahe ho to batā detā huuñ
roz hotī hai havāoñ se laḌā.ī merī
roz dahlīz pe ik sham' jalā detā huuñ
kyā diyā mujh ko kisī ne hai alag baat magar
dekhnā ye hai zamāne ko maiñ kyā detā huuñ
apne afkar-o-andaz naya deta hun
KHushk manzar mein hasin rang mila deta hun
kitna hota hai mere dil ko KHushi ka ehsas
koi pauda jo sar rah laga deta hun
waise to sare zamane se chhupa hai mera haal
tum agar puchh rahe ho to bata deta hun
roz hoti hai hawaon se laDai meri
roz dahliz pe ek sham' jala deta hun
kya diya mujh ko kisi ne hai alag baat magar
dekhna ye hai zamane ko main kya deta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.