apne ahbab ko ashaar sunane nikla
apne ahbāb ko ash.ār sunāne niklā
maiñ bhī kin logoñ meñ sar apnā khapāne niklā
ba.ad-e-koshish bhī na dīdār kī sūrat niklī
chāñd badlī se kisī aur bahāne niklā
is ko ta.alīm o mohabbat kī zarūrat hai abhī
kam-sinī meñ ye jo be-chāra kamāne niklā
chāñd ko dekh ke taara bhī badal kar poshāk
bazm-e-ahbāb meñ rañg apnā jamāne niklā
merī shohrat kā diyā shams na ban jaa.e kahīñ
koī is vāste tauqīr ghaTāne niklā
apne ahbab ko ashaar sunane nikla
main bhi kin logon mein sar apna khapane nikla
baad-e-koshish bhi na didar ki surat nikli
chand badli se kisi aur bahane nikla
is ko talim o mohabbat ki zarurat hai abhi
kam-sini mein ye jo be-chaara kamane nikla
chand ko dekh ke tara bhi badal kar poshak
bazm-e-ahbab mein rang apna jamane nikla
meri shohrat ka diya shams na ban jae kahin
koi is waste tauqir ghaTane nikla
- Book : Khushboo Ke Ta'aqub main (Pg. 52)
- Author : Dr. Arif Ansari
- Publication : Faazli Urdu Society,Burhanpur (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.