apne alfaz-o-maani se nikal aaya hai
apne alfāz-o-ma'ānī se nikal aayā hai
vo kahānī kī ravānī se nikal aayā hai
khīñch laa.ī hai hameñ chāñdnī shab meñ ḳhushbū
saañp bhī raat kī raanī se nikal aayā hai
ḳhud ko rū-posh kiyā kitne hī kirdāroñ meñ
phir bhī fankār kahānī se nikal aayā hai
jaag uTThī hai taḌap duur chale jaane se
rāsta naql-e-makānī se nikal aayā hai
phuuT bahne lage Thokar se phaphole dil ke
dard ehsās ke paanī se nikal aayā hai
tajrabe bāñdh ke gaThḌī meñ rakhe kāñdhoñ par
ik buḌhāpā bhī javānī se nikal aayā hai
hikmateñ fikr-o-tadabbur meñ rakhī haiñ 'jāzib'
falsafa sho'la-bayānī se nikal aayā hai
apne alfaz-o-ma'ani se nikal aaya hai
wo kahani ki rawani se nikal aaya hai
khinch lai hai hamein chandni shab mein KHushbu
sanp bhi raat ki rani se nikal aaya hai
KHud ko ru-posh kiya kitne hi kirdaron mein
phir bhi fankar kahani se nikal aaya hai
jag uTThi hai taDap dur chale jaane se
rasta naql-e-makani se nikal aaya hai
phuT bahne lage Thokar se phaphole dil ke
dard ehsas ke pani se nikal aaya hai
tajrabe bandh ke gaThDi mein rakhe kandhon par
ek buDhapa bhi jawani se nikal aaya hai
hikmaten fikr-o-tadabbur mein rakhi hain 'jazib'
falsafa sho'la-bayani se nikal aaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.