apne arbab-e-zar nahin badle
apne arbāb-e-zar nahīñ badle
haiñ baḌe kam-nazar nahīñ badle
chhoḌ dī shāḳh-e-gul huī muddat
taur-e-barq-o-sharar nahīñ badle
gardishoñ ne jahān ko badlā
shaiḳh vaalā guhar nahīñ badle
inqalāb aa ke ho ga.e ruḳhsat
apne shām-o-sahar nahīñ badle
ham ko duniyā kuchal ke rakh degī
ham ne rahbar agar nahīñ badle
gholā jaatā hai zahr amrit meñ
dostoñ ke hunar nahīñ badle
saarī duniyā badal ga.ī lekin
ham hī apnī Dagar nahīñ badle
apne arbab-e-zar nahin badle
hain baDe kam-nazar nahin badle
chhoD di shaKH-e-gul hui muddat
taur-e-barq-o-sharar nahin badle
gardishon ne jahan ko badla
shaiKH wala guhar nahin badle
inqalab aa ke ho gae ruKHsat
apne sham-o-sahar nahin badle
hum ko duniya kuchal ke rakh degi
hum ne rahbar agar nahin badle
ghola jata hai zahr amrit mein
doston ke hunar nahin badle
sari duniya badal gai lekin
hum hi apni Dagar nahin badle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.