apne bichhDe hue yaron ki taraf jate hue
apne bichhḌe hue yāroñ kī taraf jaate hue
haiñ sabhī log mazāroñ kī taraf jaate hue
kahkashā.eñ mirī miTTī kī taraf aatī huiiñ
mire zarrāt sitāroñ kī taraf jaate hue
ham nikal aa.e haiñ ḳhud apne hī sāhil ke qarīb
tire bahte hue dhāroñ kī taraf jaate hue
kaisā hangāma bapā hai ki mire shahr ke log
ḳhāmushī DhūñDhne ġhāroñ kī taraf jaate hue
vo bhī dariyā meñ Thaharne kā nahīñ aaj kī shab
ham bhī an-dekhe kināroñ kī taraf jaate hue
apne bichhDe hue yaron ki taraf jate hue
hain sabhi log mazaron ki taraf jate hue
kahkashaen meri miTTi ki taraf aati huin
mere zarraat sitaron ki taraf jate hue
hum nikal aae hain KHud apne hi sahil ke qarib
tere bahte hue dhaaron ki taraf jate hue
kaisa hangama bapa hai ki mere shahr ke log
KHamushi DhunDhne ghaaron ki taraf jate hue
wo bhi dariya mein Thaharne ka nahin aaj ki shab
hum bhi an-dekhe kinaron ki taraf jate hue
- Book : Wahima Vajood Ka (Pg. 113)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
- Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 108)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2017)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.